मैं अपने जब्त आभूषण को आयकर विभाग से कैसे छुड़ा सकता हूं?

Police ne jo criminal case hum par banaya tha, usse Indore High Court ne quash kar diya aur direction diya ki petitioners, IT department mein interim custody ke liye jewellery claim karein. Is case mein 102 CrPC ke under police ne jo jewellery seize ki thi, use Railway Court ne Income Tax Department ko 451/457 CrPC ke under interim custody mein de diya tha, jabki GRP police is case mein primary party thi. To phir Income Tax Department kaise is case mein party ban sakti hai? Lekin IT ka kehna hai ki Income Tax mein tumhare upar jewellery ke amount ka addition ho chuka hai aur jab tak demand khaada hai, tab tak hum release nahi kar sakte. Jab maine unse kaha ki aap release mat kijiye, lekin mere release application ko reject karke dijiye, to wo bhi reject nahi kar rahe hain. Pehli application lagane ke 2 mahine baad reminder application lagayi thi, lekin usmein bhi 1 mahina nikal gaya aur koi jawab nahi de rahe hain. Mera financial situation bhi bohot kharab ho gaya hai aur high court jaane ka kharcha bhi hai. To aap se request hai ki koi aisa solution batayein jisse mujhe mera sona mil jaye.

1 Answer
Only verified advocates can give an answer Sign In
Admin
Advocate By LEAD INDIA Answered: 03 Dec 2024

सर, आप आयकर विभाग और आयकर आयुक्त को एक कानूनी नोटिस भेज सकते हैं, हाई कोर्ट में एक रिट याचिका दायर कर सकते हैं, या देरी के लिए मामले को उच्च अधिकारियों तक बढ़ा सकते हैं। एक विशेषज्ञ वकील से सलाह लेना उचित होगा जो गहनों की रिलीज को जल्द करवाने में आपकी मदद करेगा। अधिक कानूनी सहायता के लिए हमारे हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।
 

24x7 Help

If we fall short of your expectation in any way, let us know

Payment Trust

All refunds come with no questions asked guarantee

Talk to Lawyer

Talk Now