How do I get divorce from my wife without maintenance?
Sir, meri shadi ko 1.5 saal huye hai, mujhe meri wife ne pareshan kr diya koi kaam nhi krti shaadi ke baad se hi bimar rehti hai, har dusre din doctor ko dikhana hota hai. Uske father nhi hai aur koi brother v nhi hai 3 sister ye log aur maa hai, bolti hai uski mummy aur sister ke kharch mai karun. Aur v bhut sari baatein hai, mai divorce chahta hun kya karu. Mai private company me job krta hun Kolkata me. Mainteinance nhi de paunga divorce ke baad
Agar aap divorce chahte hain, to aapko pehle to ek lawyer se baat karni chahiye. Lawyer aapko divorce ke liye kaise application file kar sakte hain, aur divorce ke baad aapke liye kya-kya rights aur responsibilities hain, ye sab batayega. Maintenance ke liye Court aapke income aur expenses ko dekhkar maintenance ki matra decide karega. Agar court ko lagta hai ki aap maintenance de sakte hain, to woh aapko maintenance dene ka order de sakti hai. Aage ki kisi bhi jankari ke liye hmare helpline number par sampark kare.
Related Questions
24x7 Help
If we fall short of your expectation in any way, let us know
Payment Trust
All refunds come with no questions asked guarantee