ADM के खिलाफ शिकायत कहां और कैसे करें?

Main Lajpat Nagar, New Delhi ke District Magistrate Office mein kaam kar raha hoon. Mera post security guard hai. Aaj 12 baje, ADM ke staff MTS ne mujhe bulaya aur kaha ki, sir ke bachon ko school se lene jaana hai. Maine kaha ki apne in-charge SDM se puch lo. Usne meri baat confirm ki aur ADM se baat karwai. Maine ADM sir se namaste kiya aur kaha ki sir, aap ek baar SDM sir ko bata dijiye. Bas itna kehne ke baad, ADM sir mujhe gaaliyan dene lage, maa-behen ki gaaliyan di aur naukri se hata dene ki dhamki di. Mere paas iski video aur audio recording dono hain. Main aapse jaana chahta hoon ki mujhe is office mein 12 saal ho gaye hain aur aaj tak maine koi galti nahi ki. ADM ke is vyavhaar se meri aatma aur maan-samman ko bahut thes pahuncha hai. Main ADM ke khilaf complaint karna chahta hoon. Kahan aur kaise karu, mujhe batayein.

1 Answer
Only verified advocates can give an answer Sign In
Admin
Advocate By LEAD INDIA Answered: 18 Nov 2024

सर, आप ADM के इस बर्ताव के खिलाफ एक औपचारिक शिकायत दर्ज कर सकते हैं। इसके लिए एक विशेषज्ञ वकील की मदद लें, जो आपको आपके अधिकारों और आगे की कार्रवाई समझाने में सहायता करेगा। अधिक कानूनी सहायता के लिए किर्पिया हमारी हेल्पलाइन नंबर पर संपर्क करें।

24x7 Help

If we fall short of your expectation in any way, let us know

Payment Trust

All refunds come with no questions asked guarantee

Talk to Lawyer

Talk Now